Ek Waqt Tha, Jab Tujhse Beintehaa Pyaar Karta Tha, Ab To Tu Khud Mohabbat Ban Chali Aaye Toh Mujhe Fark Nahi Padta.
Ek Waqt Tha Jab Teri Parvah Karta Tha, Ab To Tu Mere Khatir Fana Bhi Ho Jaye Toh Fark Nahi Padta.
Ek Waqt Tha Jab Tujhe Hazaron Message Likha Karta Tha, Aur Koi Kaam Na Tha Mera, Aur Koi Kaam Na Tha Mera, Bas Din Bhar Tera Last Seen Dekha Karta Tha,
Ab Sunn Le, Ab Sunn le Arsa Beet Gaya Hai Visit Kiye Huye Teri Profile Ko, Jaa Ja Ab Tu 24 Ghante Online Reh Jaye Mujhe Farq Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Bichhad Jaane Ka Dar Laga Rehta Tha, Aur Tu Kahi Chhod Na De Iss Khayal Se Mai Sehma Sehma Sa Rehta Tha,
Lekin Abb Sunn Le, Abb Sunn Le,
Itna Zalil Hua Hu Tere Ishq Mein, Itna Zalil Hua Hu Teri Inn Roz Roz ki Chhodne Chhadne Ki Baaton Se, Ki Tu 1 Kya 100 Dafa Chhod Jaaye Mujhe Fark Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha
Ek Waqt Tha Jab Tujh Bin Ek Pal Na Reh Sakta Tha, Bechain Ghumshuda Sa Akele Pann Se Darta Tha,
Lekin Sunn Le
Ab To Itna Waqt Beeta Chuka Hu, Iss Akelepann Mein, Ki Taa-umar Tanha Rehna Padd Jaaye To Fark Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha,
Ek Waqt Tha Jab Tujhe Koi Chhu Leta, Toh Mera Khoon Khaul Utthta Tha, Aur Isliye Kayi Dafa Mai Inn Hawaon Se Bair Paala Karta Tha,
Arre Apne Husn Ke Siva Kuch Nahi Hai Tere Pass Agar, “If the Beauty is All You Have. Then the Ugly Is All You Are.
Toh Apne Husn Ke Siva Kuch Nahi Hai Tere Pass Agar, Toh Jaa Jaa Tu Kisi Ke Saath Hambistar Bhi Ho Jaye, To Mujhe Fark Nahi Padta
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha,
Itna Guroor Kiya Tune Apne Iss Mitti Ke Jism Par, Jaa Ye Tera Jism Kisi Aur Ka Ho Jaaye , Mujhe Fark Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha,
Ek Waqt Tha Jab Tere Liye Khuda Se Mannatein Mangta Tha, Mujhe Khud Toh Kuch Chahiye Na Tha, Sirf Tere Liye Apne Uss Khuda Ko Aajmaata Tha,
Lekin Ab Sunn Le,
Ab To Na Jhukta Hu, Na Poojta Hu, Na Maanta Hu Kisi Ko, Ab Toh Bhale Tu Khud Khuda Bann Chali Aaye Toh Mujhe Fark Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha
Ek Waqt Tha Jab Sher Likha Karta Tha Tere Liye, Aur Sunata Tha Mehfilon Mai, Arre Ab Toh Arse Baad Likhi Hai Ye Adhoori Si Kavita Tujhpe, Aur Sunn Le Ab Aage Se Kabhi Kuch Na Bhi Likha Jaye To Fark Nahi Padta,
Batana Tujhe Mill Jaye Mujh Jesa Koi Aur Agar. Jaa Jaa Tu Ab Auron Ko Aazma Le Mujhe Fark Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha
Ek Waqt Tha Jab Tujhe Hazaron Ki Bheed Mai Pehchan Liya Karta Tha, Hijaab Mai Hoti Agar To Aakhon Se Pehchan Kiya Karta Tha, Ab To Nigahon Se Ojhal Kiya Hain Maine Tujhe Kuch Iss Kadar, Ki Iss Bheed Mai Baithi Tu Mujhe Sunn Bhi Rahi Hai, Toh Mujhe Fark Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha
Khair Phir Bhi Karta Hu Shukriya Tera, Ki Tujhe Khone Se Maine Bahot Kuch Paa Liya Hai, Nazme, Gazle, Shayriya Sab Mil Gayi Hai Mujhe, Aur Inhone To Jaise Gale Se Laga Liya Hai, Ab To Mujhe Sunne Wale Bhi Hai , Chahne Wale Bhi Hai, Daad Dene Wale Bhi Hai, Lekin Sunn Le Ab Itna Bekhauf Ho Gaya Hu, Ki Ye Sab Bhi Chhod Jaaye Toh Mujhe Fark Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha
Arre Khudhi Mai Mast Ho Gaya Hai Tera Ye Jai Itna, Ki koi Ab Sunne Aaye Ya Na Aaye Mujhe Fark Nahi Padta,
Khair Chahta To Nahi Tha, Ki Tujhe Yu Benakaab Karu Sabke Saamne, Lekin Sunn Le , Ek Bewafa Meri Kalam Se Beizzat Ho Jaye Toh Mujhe Fark Nahi Padta
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha
Yaad Kar Wo Waqt, Yaad Kar Wo Wqat , Jab Ek Lafz Bhi Nahi Sunn Paata Tha Tere Khilaaf, Ab Dekh Dekh Yaha Aake Teri Tauheen Par Taaliyan Baj Rahi Hai, Toh Mujhe Fark Nahi Padta,
Ek Waqt Tha Jab Tujhse Pyaar Karta Tha
~ By JAI OJHA
Watch This Video On YouTube:
Pingback: I Don't Care Break-Up Motivation! - Daily Blog day
Pingback: Wo Gairon Ke Hona Sikh Gaye By Jai Ojha - Daily Blog day
Pingback: Andar Se Nahi Marna Hai Jai Ojha Poetry Lyrics - Daily Blog day
Pingback: Toh Pata Chale Shayri by Jai Ojha - Daily Blog day