Vasudev Krishna Enlightening Pitamah Bheeshm, Guru Dronacharya & Angraj Karn.
Krishna Enlightening Bheeshm Pitamah
Mai na Vasudev krishn hu, Naa hi yaduvanshi hu, Mai naa hi manav hu, Mai parabrahma hu guru shrestha, Mai hi satya, gyaan aur dharm hu.
Meri hi anumati se aap yudh kar rahe hai, meri hi anumati se aap jeevit hai, meri hi anumati se aap mrityu ko prapt honge.
Jis pratigya se saare samaaj ko laabh ho, uska mulya avashya hai,
Kintu jis kshan manushya ki pratigya uska nirnay saare samaaj ko haani pahuchane lage ussi kshan uss pratigya ko todna anivarya ho jata hai Maha Mahim.
Krishna Enlightening Guru Dronacharya
Prem to unnati deta hai, uchit anuchit ka gyaan deta hai gurudev,
Prem hota toh aap adharm se nahi bandh’te aur aapka putra bhi adharm se chhut jata.
Vaastav mai ye Prem nahi Moh hai.
Prem aur Moh ka Antar
Vaastav mai jahan prem hota hai wahan moh hota hi nahi,
Prem ka janam karuna se hota hai aur moh ka janam ahankar se,
Prem kehta hai ki mere putra ko ishwar sansaar ke saare sukh denge aur moh kehta hai, mai apne putra ko sansaar ke saare sukh dunga
Prem kehta hai mujhe apne putra par garv ho aur Moh kehta hai mere putra ko mujh par grav ho.
Prem Mukti deta hai aur Moh baandh’ta hai
Prem Dharm Hai Gurudev Aur Moh Adharm
Guru wo hota hai jo vidya ka daan deta hai, Vidya ka vyapar nahi karta.
Isliye Guru ko apne shishyon se dakshina ki aasha hoti hai mulya ki nahi.
Jis Vyakti ke hriday mai ahankar aur mann mai Moh tatha laalsa hoti hai uske haatho toh Dharm ka karya ho hi nahi sakta.
Krishna Enlightening Karn
Jo Vidya aniti ke marg par chal kar prapt ki jaati hai wo sankat ke samay saath chhod deti hai,
Vidya prapt karne ka prayatna aapne kyu kiya tha angraj, kya vidya ka mahatva jaana tha aapne ya vidya prapt karke samaaj ko laabh dene ki iccha thi aapke hriday mai, Ya keval apne apmaan ka pratishodh lene hetu aapne vidya prapt ki.
Vaastav mai vidya prapt karne hetu shram ki toh avashyakta hi nhi hoti, Keval ekagrata aur samarpan paryapt hai, Gyaan toh aatma ka sehaj gunn hai.
Vidya Grahan karte samay mann ekagra kyu nahi rehta
Jab gyaan ko manushya saadhan maanta hai kisi anya vastu ko prapt karne hetu gyaan grahan karne nikalta hai tab gyaan grahan karte samay uska mann sthir nhi ho pata, Gyaan uski aatma ka gunn nhi ban pata, Jo vyakti amulya gyaan ka mol jaan kar gyaan prapt karta hai wo uttam ban jata hai, Kintu jo vyakti kuch aur prapt karne ke aashay se gyaan prapt karta hai woh jeevan bhar shreshta banne ki spardha mai laga rehta hai kintu uttam nahi ban pata.
Follow Me On Instagram : the_aakash_sky
Read Our Ultimate Motivation Content Click Me
We hope you liked the content of our page Read EveryDay Blogs at dailyblogday India’s Blogging Site.
Pingback: Vishnu Dashavtar and Darwin's Theory Of Evolution - Daily Blog day
Pingback: Significance Of The Auspicious Month of Shravana - Daily Blog day
Pingback: Bhole Baba Devon Ke Dev Mahadevji - Daily Blog day
Pingback: My Kanha Is Always There You Should Know Him - Daily Blog day
Pingback: Surya Grahan on 10th June 2021: Know the Date, Time, and Place - Daily Blog day