Mitti Hona Pasand Aya By Jai Ojha
Yu toh hawa, paani, aakash, agni sabkuch tha mai,
Lekin mujhe toh fakt mera mitti hona pasand aya.
Mere naam mai jo “i” tha usse kabhi bada nahi hone diye,
Mujhe hamesha mere naam mai “i” par choti si bindi hona pasand aya.
Yu kadd toh darakto ke bhi dekhe hai bahot,
lekin unn tehniyo ka niche ki or jhuki hona pasand aya.
Aur bhale duniya dekhti hogi aakash ko chumti huyi imaarte,
lekin mujhe toh uss neev ka bhaari bharkam patharo ke beech mai dabi hona pasand aya.
Yu car e daudate dekha hai mene bachho ko ghar aangan mai,
Lekin bachpan ko toh asal mai wo kagaz se bani kashti hona pasand aya.
Aur crush toh zamane ko hua hai candy se bahot,
Lekin mujhe toh nokia 3310 mai saanp ki pooch ka lambi hona pasand aya.
\Yu toh hawa, paani, aakash, agni sabkuch tha mai,
Lekin mujhe toh fakt mera mitti hona pasand aya.
Yu daud rahe the sablog jese hod lagi thi 1st aane ki,
Bhaagte dekh yu sabko mujhe khudka aakhri hona pasand aya.
Aur jaha aasan raaste dhund rahe the bazaar mai sab daulat, shaurat, kaamyabi ke,
Wohi mujhe apni ungliyo ka likh likh kar khurduri hona pasand aya.
Yu toh hawa, paani, aakash, agni sabkuch tha mai,
Lekin mujhe toh fakt mera mitti hona pasand aya.
Yu 1000 kism ki tamam chote mili thi iss zindagi ke safar mai,
lekin iss dil ko toh bas unhi ki bewafai ke haatho zakhmi hona pasand aya.
Aur yu toh millions the viewers aur hazaro the inbox mai,
lekin mujhe meri id ka toh kisiki block list mai chhupi hona pasand aya.
Yu toh hawa, paani, aakash, agni sabkuch tha mai,
Lekin mujhe toh fakt mera mitti hona pasand aya.
Zulm kiye, sitam dhaaye hum pe kya batau unhone kya kya,
Aur badle mai hume bas woh fark nahi padta shayri hona pasand aya.
Aur bhale ki subah ki chai piti ho tum kisi aur ke saath aksar,
Lekin meri zubaan ko toh bas humari cappucino ka yu baaton baaton mai, thandi hona pasand aya.
Yu toh hawa, paani, aakash, agni sabkuch tha mai,
Lekin mujhe toh fakt mera mitti hona pasand aya.
Koi baat nahi ki mud kar toh dobara dekha bhi nahi tha tumne jaate huye mujhe,
lekin wahan uss waqt uss manzar ko toh mera wohi ke wohi hona pasand aya.
Aur shayad bhitar liye ghumta hu tumhe aaj bhi mai har gali har dagar par,
Mujhe iss farebi duniya mai apni mohabbat ka yu asli hona pasand aya.
Yu ilzam lage the dhero lekin kabhi aanch bhi naa aayi mujh par,
Kuch iss tarah se mujhe mera khuda ki adaalat se bari hona pasand aya.
Aur khuda maan baithe the zamane mai log khudke,
Wohi mujhe toh mera fakir sufi hona pasand aya.
Yu toh hawa, paani, aakash, agni sabkuch tha mai,
Lekin mujhe toh fakt mera mitti hona pasand aya.
Also Read: Poem on Shri Narendra Modi
Follow Me On Instagram: the_aakash_sky
Also Read: Poem on Father
Also read: Gairon ke hona sikh gaye
Pingback: Circus By Jai Ojha - Mujhe Nahi Samajh Ata Kyu - Daily Blog day
Pingback: Andar Se Nahi Marna Hai Jai Ojha Poetry Lyrics - Daily Blog day