Poem On Father

  • Post author:

The poem is dedicated to all the Father, who are a great support to their families.

Pita Roti hai, kapda hai, makaan hai,
Pita nanhe se parinde ka jaan hai,
Pita hai toh maa ki chudiya sindoor aur suhaag hai,
Pita hai toh bachho ke saare sapne hai,
Pita hai toh bazaar ke saare khilone apne hai.

Beshak Pita lori nahi gaate, Aansu nahi bahate, Par din Bhar ki thakaan ke bawajood, raat ka pehra ban jaate.

Pita Jab Nikalte hai Tinko ki Khoj mai, kisiki khilone, kisiki kitaabein, kisiki mithai, kisiki dawai, Parwaaz par hote hai sabke sapne pita kab hote hai khudke apne.

Aur jab saanjh dhale Pita laut’te hai ghar ko, Maa ki chudiya khanakti hai, Nanhi Gudiya Chahakti hai, sabke sapne sakaar hote hai, Pita uss samay avtaar hote hai,

Jawaan betiya badnaam hone de darti hai,
Har galti par aankho ki maar padti hai,
darasal bhay, haya, sanskaar ka bol baala hai pita,
Mohalle bhar ki zubaan ka taala hai pita.

Pita ho toh ghar swarg hota hai,
Pita na ho toh unki smritiya bhi apna farz nibhati hai,
Pita Ki tasveer se bhi duaye aati hai.

Father are a blessings to us by God

Follow Me On Instagram: the_aakash_sky

Also Read: Poem on Shri Narendra Modi

This Post Has 6 Comments

Leave a Reply