Wo Gairon Ke Hona Sikh Gaye By Jai Ojha
Wo Pyaar Mohabbat Ke akidat-mand badi jaldi nafrat karna shikh gaye,
Hum to unke the unhi ke rahe aur wo na jaane kab gairon ke hona sikh gaye.
Hum nawaqif the iss baat se ki wo ajnabi iss kadar ho jayenge,
Najar aate the jo phone ke har galiyaron mai; ek folder me simat kar jayenge.
Hum nawaqif the iss baat se ki wo iss risthe ko itni behrehmi se tod jayenge,
Hume sabse pehle jawab dene wale hamara message seen kar chod jayenge.
Hum sehro sham muntajeer rahe unke jawabon ke, aur wo kisi aur mehfil-e-chat mai reply karna sikh gaye,
Hum toh unke the unhi ke rahe, aur wo na jaane kab gairon ke hona sikh gaye.
Jab bade dino baad humse pucha hal-e-dil unhone to hum bhi khudaar the muskura ke jhooth bolna sikh gaye,
Hum to unke the unhi ke rahe, aur wo na jaane kab gairon ke hona sikh gaye.
Hum nawaqif the iss baat se ki log badal bhi jaya karte hai, wo ankhon me ankhe daal kiye vaadon se mukar bhi jaya karte hai,
Sadayein aati thi jinko humare seene se, wo kisi aur se lipatna sikh gaye,
Aur dil mai aashiya banaya tha jinhone, ab guzarte hai saamne se toh nazre chura kar chalna sikh gaye,
Hum unke the unhi ke rahe, aur wo na jaane kab gairon ke hona sikh gaye.
Hum nawaqif the iss baat se ki woh chehre ko saaf aur dil ko maila rakhte hai, kuch log haseen ese bhi hote hai jo khilono se nahi jazbaaton se khela karte hai,
hum aashiq naadan the ta-zindagi bhitar-baahar ek se rahe aur wo kambakath bewafaai karte karte rojana Jild badalna sikh gaye,
Humne unke saath arsh ke sapne dekhe the, aur jab huye hakikat se rubaru toh khwaishe kuchalna sikh gaye.
Hum unke the unhi ke rahe, aur wo na jaane kab gairon ke hona sikh gaye.
Hum nawaqif the iss baat se ki kabhi waqt hamare iss kadar khilaaf ho jayega ki unki mehendi me chupke se banya “J” akshar is kadar saaf ho jayega,
Hum unke naam ka harf hatheli par nahi dil par likhna chahte the,
Isliye dard hota raha harf banta raha, aur hum dil kuredna sikh gaye,
Hum unpe marke jeena chahte the, huye alhada unse jab se jeete ji marna sikh gaye.
Hum nawaqif the iss baat se ki wo hamare bina bhi reh sakte the, jo fasaane unhone humse kahe the utni hi siddat se kisi aur ko bhi keh sakte the,
Are humne toh sona samajh yun pakde rakha tha unko aur wo kambakth dhul the nikle ki, bade itminaan se fisalna sikh gaye,
Hum kuch der door jo huye kya unse wo hamare bina hi rehna sikh gaye.
Hum to unke the unhi ke rahe aur wo na jaane kab……….
Also Read: Ab Fark Nahi Padta
Also Read: Poem on Shri Narendra Modi
Follow Me On Instagram: the_aakash_sky
Also Read: Poem on Father
Pingback: A Light Heart Lives Long You Must Read - Daily Blog day
Pingback: Sachhi Yaariya Sada Kaayam Rahe Lyrics by Akshay Dhawan - Daily Blog day